Ghazal - Woh thaka howa mairi banoon mein
May 22, 2007 on 9:06 pm | In Mushaira Video | No Commentswoh thaka howa mairi banoon mein zara soo gaya tu kaya howa
abhi mein daikha hai chand bhi kissi shakh e gul pay jhuka howa
jissay lay gai hai abhi hawa woh waraq tha dil ki kitaab ka
kaheen ansoon say mitta howa kaheen say likha howa
kayee meel rait ko kaat kar koi mouj phool khila gai
koi pair payaas say mar raha hai nadi kay pas khara howa
mujhay hadsoon nay saja saja kay bohat haseen bana diya
maira dil bhi jaisay dulhan ka hath ho mehandiyoon say racha howa
wohi shehar hai wohi rastay wohi ghar aur wohi lawn bhi
magar us darechay say pochna woh darakhat anar ka kaya howa
Presentation of Urdu Poetry Forum - Get RSS Feed:
Entries and comments feeds.
^Top^